Skip to main content

Posts

Showing posts from March, 2018

I'll be there

by - Tryambkesh Nandan When Breath becomes air and no one's left near. When the words become spear and leave behind a smear. To let you believe in all my swear, I will be there, Oh dear! People always come and go if that's what you fear. No one's around to hold you, to wipe off your tear, to let you believe in all my swear, I will be there, Oh dear! They don't know the story don't trust your ear. they are filled with nothing but shit sheer. To let you believe in all my swear, I will be there, Oh dear! Life is a speeding car, pull in the right gear. Lest you should fall in the blue ocean or a hole near. To let you believe in all my swear, I will be there, Oh dear!

Kaash

Gar tu haami bharta mera hath thamne ko, mai aaj Kaash na kehta. Gar tu koshish karta ek dafa mujhe samajhne ko, mai aaj K aash na kehta. Gar tu jhootha hi Mai Sath Hu Tere kehta, mai aaj Kaash na kehta. Gar tu mujhe chhod use na chunta, mai aaj Kaash na kehta. Gar tu thodi door hi sahi, meri raah chalta, mai aaj Kaash na kehta. Ishq na tha, to na sahi. Gar tu mud ke, apni julfein jhuka ke, teer si nigaaho'n se meri 12 pasliyo ke pichhe chhipe is nanhe se dil ko cheer na deti to- mai aaj Kaash na kehta. ********************************************************** गर तू हामी भरता मेरा हाँथ थमने को , मैं आज काश न कहता।  गर तू कोशिश करता एक दफ़ा मुझे समझने को, मैं आज काश   न कहता।  गर तू झूठा ही मैं साथ हूँ  तेरे कहता, मैं आज  काश न कहता।  गर तू मुझे छोड़ उसे न चुनता, मैं आज काश   न कहता।  गर तू  थोड़ी देर ही सही, मेरी राह चलता, मैं आज काश   न कहता। इश्क़ न था तो न सही।...

Ek dafa

Ek dafa kisi se mohabbat kar ke to dekh, suna hai, jhoothe gumo'n ko bhi ashqo'n mein baha deti hai ye. Ek dafa kisi ki baaho'n mein kho kar to dekh,  suna hai, kabra se bhi jyada sukoo'n deti hain ye. Ek dafa kisi rooh se roobaro ho kar to dekh,  suna hai, jism ki khushboo bhula deti hai ye. एक  दफ़ा  किसी  से मोहब्बत  कर  के  तो  देख , सुना  है , झूठे  ग़मों  को भी  अश्क़ों में बहा देती है।  एक दफ़ा  किसी की बाहों में खो कर तो देख , सुना है, कब्र से भी ज्यादा सुकूँ देती हैं ये।  एक दफ़ा  किसी रूह से रूबरू हो कर तो देख, सुना है, जिस्म की खुशबू भुला देती है ये।  ***************************************************

Wo

Koi tha hi nahi jo dekhta meri taraf Mai us farsh ki tarah tha, jispe padi ho maili saraf! Na jane kaha se ayi wo ek tohfa ban ke Shayad thi wo kahi jaldi mein, ja rahi thi jara than ke! Najrein na hatana chahi, na hati, mano jam gayi ho Usne dekha or thithar gayi jaise naino mein hi ram gayi ho! Kuchh shabd the mere jo kehat gya bina lihaj kiye Wo man gayi sab kuchh, bina kuchh aitraj kiye! Shabdo ki kami na idhar thi na udhar Waqt ke ek jhonke ne kr diya sab titar-bitar! Mila usse kuchh-ek saalo baad, jaise beet gaya ho zindagi ka kuchh hissa Sunne ko mere pas samay ka samandar tha, sunane ko uske pas bhi tha ek kissa! Ye to wo thi jisne meri zindagi ke samaa ko baandhe rakha tha Warna na zamee'n meri thi, mujhe na zamane ne apna rakha tha!

Ishq

Maana hum college me kam hi milte the, par ishq to tha na. Maana kabhi tere Scoop se maine Ice-cream nahi khayi, par ishq to tha na. Maana scooty pe baith ke teri kamar pe kabhi haath nahi rkha, par ishq to tha na. Maana kabhi mere alfaazo ko jazbaato ka sahara na mila, par ishq to tha na. Maana tune kisi gair ka haanth pakad kar mujhe kinare kahi gum kar diya par mai kaise bhula du teri beparwah gustakhiyo ko, kyunki MUJHE ISHQ TO AB BHI HAI NA!